rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
Home
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
swapnil
Categories
Poetry
My Top Posts
ghazal...
insaniyat...ek n...
signature.....ek...
Favourites 2
Ritu saroha
ramnath rajaram
What is an RSS feed?
RSS Feed 
swapniltiwari.rediffiland.com/ 
Recent Posts
 16:27 | 22/Jul/2008 | 2 Comment(s)
nazmon waali ladki

Wo nazmo.n waali ladki hai
mai.n gazlo.n wala ladka hu.n


hum milte hai.n iik mehfil me.n
kabhi raste me kabhi manzil me.n
wo hoto.n pe rakhkar nazme.n
aksar hee chabaya karti hai
mai.n gazalsaraa in ankho.n se
use roz chumta rahta hu.n...
wo nazmo.n wali ladki hai
mai.n gazlo.n wala ladka hu.n....


Uski baato.n me.n phool mile.n
titli mere she'ro.n se ude
wo khushbu khusbu rahti hai
mai.n mai.n rang banaata rahta hu.n...
Wo nazmo.n waali ladki hai
mai.n gazlo.n wala ladka hu.n...

Wo khud chulhe me.n jalti hai
meri gazlo.n me.n pakti hai
wo anch badhati rahti hai
mai.n dhua.n udata rahta hu.n..
Wo nazmo.n wali ladki hai
mai.n gazlo.n wala ladka hu.n..


Dono aadam ki jaat sahee
par wasl ki koi baat nahee
wo nazm ke kapde silti hai
mai.n gazal pehanta rahta hu.n..
Wo nazmo.n waali ladki hai
mai.n gazlo.n waala ladka hu.n...!!!

-aatish

Permalink 
 12:44 | 14/May/2008 | 15 Comment(s)
ghazal

Na koi ghar na koi dar banaana chahta hun
mai.n tere vaste chappar banaana chahta hun..

koi majlum bhi chahe to jis ko mar de
vo iis sarkaar ko gabbar banaana chahta hu.n..


majhabi panv na bahar nikal paye jaha.n se
iis bharat ko vo chaddar banaana chahta hu.n..

Parasti chah ke bhi kar na sake aoro.n ki
har iik insaan ko khaddar banaana chahta hun..

Kai libaas pahne hain badan dikhta hai magar
jo sab kuch dhank. le vo astar banaana chahta hu.n...

Ha.n aaise khab to aksar hee toot jate hai.n
magar ye khab mai.n aksar banaana chahta hu.n..

swapnil

Permalink 
 11:11 | 6/May/2008 | 5 Comment(s)
usne samet rakha hai

mera kuch aur samaan likhte waqt mujhe nahee pataa tha ki......

koi mujhe yun kahega ki ha.n maine tumhare samaan sahej kar rakhe hain.....

bt it happend........

one of my best frn wrote dis nazm 4 me.........

the night i went throgh it..............

i melted....................

 

ye rahee wo nazm.........

 

 

 

 

jane kya sujhi  mujhe
ke ja khola maine
woh kothe ka kamra
bahut waqt ho gaya shaayad
yadon ki tarah
dhool si zam gayi hai sab jagah
 
haan kuch saman pada hai tera
adhjale cigrette ke tukde
kuch rakh bhi hai
silwate bhi hain bistar pe kuch
kiraye ke chand sikke bhi hain
 
ek adhura sher bhi baki hai
likha hai
"tujhe bhul jaun agar"
laga jaise aaj ke liye
 likh choda tha tumne
yad aya ke koi apna bhi tha
ja garo ki tarah gaya tha
bin kuch bataye
bin kuch kahe
 
kabhi waqt mile to le jana
sahej ke rakh chodi hai main
sab amanat teri............
 
--aanch--

Permalink 
 18:49 | 17/Apr/2008 | 20 Comment(s)
mera kuch aor samaan


Gulzaar the name is like god

the poet , the lyricist , the story teller , the director... a one man army...

a song 4m one of my fav movie ijaazat seems me the best song of bollywood

the song is MERA KUCH SAMAAN........

i always used to think "kash mai bhi kuch aisa likh paata"

n i tried ...........

i know it is not good as the song....coz it is not possible...

here goes my attempt............

 

 

 

Tum ne laota to diya hai sab kuch
magar kuch aor rah gaya hoga
fir se daraaz dil ki tum
aor iik baar fir tatol lena
wahan shayad meri mohabbat ka
ek tukda sa rah gaya hoga


main aapni shab to sath layaa hun
chand mera tumhari julfo.n me
meri ungli ki jumbisho.n ki tarah
aaj bhi ghumta hua hoga


apni diary ko fir dekho
meri sahmi si nazm bhi hogi
kalam meri tumhari table par
aaj bhi kuch sochti hogi
Teri ankhon ki anch pe shayad
mera iik khab bhi paktaa hoga..

Subah ki meri pahli kirne bhi
teri khidki me jhankti hongi
pataa mera agar tum janti ho
to unko bhi bata dena.....
Suno..
Dil ki daraaz ko jaana.n
fir se iik baar tum tatol lena
mera kuch aor bhi samaan shayad
tumhare paas hee pada hoga........

shab....raat

jumbish.....harkat

--swapnil




Permalink 
 17:54 | 10/Apr/2008 | 13 Comment(s)
ghazal

Mere dil ka har ek haal bayaa.n karti hain,

jhurriyan hai umar ke saal bayaa.n karti hain...


Teri nazro ki zafaa kis kadar guzri hai mujh par,
ye saara kissa meri khaal bayaa.n karti hai...


Bhale hee shayri ko meri aawaz na dee ho,
uski nazre.n faqat sur-taal bayaa.n karti hain...

Khuda... kis darza tumne kee hai be-iimaani,
tere ghode ki har ek chaal bayaa.n karti hai...


Kisi gulaab se pucha hai jo surkhi ka sabab,
uski kaliyan bi TERE GAAL bayaa.n karti hain.....

-swapnil

Permalink 
 17:52 | 10/Apr/2008 | 5 Comment(s)
ghazal

Mahfil me tumhe hum ruswa na karenge,
kisi misre me tere naam ka charcha na karenge..

Tumhari dosti ko bi bhula denge hum is qadar,
teri aawaaz ko sunkar bi hum muda na karenge..

Inme khud behtari bi hai aor ana bhi hai bahot,
khudmukhtar jakhmon ki koi dawaa na karenge..


Kuch waqt baad har sadma tera bhul jayenge,
tere kisse kaheen chalenge to suna na karenge..


Hai mujhko naaz is qadar humsaaye par apne,
ke hum wasl-e-yaar ki koi duwa na karenge..

Sach sach kahenge dil se.. tum mere nahee rahe,
hum apni dhadkano se dhokha na karenge..

-swapnil

Permalink 
 10:43 | 1/Apr/2008 | 11 Comment(s)
foolish try-ek nazm

Wo us roz al-subah mere paas aayi thee
meri ankhon se usne sari silvate hatai thee

usne mujhse kaha
suno...!!
Mujhe tumse mohabbat hai...


Maine kahaa
ki tumko mujhse ishq ho na ho
meri har nazm tere naam se alfaaz chunti hai
meri sadaayen tere naam ke hee soot bunti hain...


Suno...!!
Mujhe bi tumse utni hee mohabbat hai...

Tum to kab se jaanti ho
mere seene me tere naam ka dil hai..

Aor mujko bhi khabar hai aaj pahli april hai...

Chalo ye din hee sahee
tumne ek din to de diya....

 

 

-swapnil

Permalink 
 15:18 | 15/Mar/2008 | 7 Comment(s)
signature.....ek nazm


Ye raten jo guzari hai humne ab tak
humse ajnabi thin kuch
aao apni si ek rat banayen


mai teri julfon ki tariqi asman par pent karun
tu mere khabon ko brush laker us asman par chidake zara
yun tare b us asman me jane pahchane honge
fir teri ankhon k jhelum me jo chand ki parchayin hogi
mai apne hato me lekar use asma ke kone me aise rakhunga
jaise har painter apni penting k neeche nam likhta hai

Aao apni si ek rat banayen.....!!!





swapnil


Permalink 
 15:15 | 15/Mar/2008 | 2 Comment(s)
ghazal..3


Mujhe awaj do ya meri sadayen suno
,ya karke daga meri sab wafayen suno.


Chirag ghar me jal rahe hai unki ankho k,

mere ghar na ana aae hawayen suno.

Khusk rahon pe chalna unko dushwar hoga,
rastön pe phail jana aae ghatayen suno.


Mujhe malum hai ye unse numayan nai hoti,
azan-e-subah me unki sab adayen suno.


Unke ishq se kuch bhi to na mila mujhko,
khuda aao.. tumko bhi azmaye... suno.




swapnil


Permalink 
 15:10 | 15/Mar/2008 | 2 Comment(s)
insaniyat...ek nazm


Aur zor lagao
kheencho aur kheencho
are dost !
Tum bi zara hath de do,


rooh par meri ye jane kaise ug aayi hai?
Ye insaniyat ukhade to jee ko chain aaye....



swapnil



Permalink